kisi but ke shikam se gar koi aazar nikal aae 
KHirad ka band TuTe aur ek patthar nikal aae 
taqaze jab badan ke ruh mein Dhal kar nikal aae 
qaba ke band TuTe aur hasin bistar nikal aae 
zamana na-shanasi ka murawwat be-KHayali ki 
na jaane kis gali kis moD par KHanjar nikal aae 
uge hain KHwab-zaron mein manazir sar-tarashi ke 
suhani wadiyon mein bawle lashkar nikal aae 
thakan ka bojh le kar koi kitni dur chalta hai 
magar jab rah mein ek mil ka patthar nikal aae 
chhupa kar jin charaghon ko nihan-KHane mein rakkha tha 
fasil-e-jaan pe jalne ke liye kyun kar nikal aae
        Ghazal
Kisi but ke shikam se gar koi aazar nikal aae
Khalid Jamal

