اردو हिंदी
Kisi bhi zaKHm ka dil par asar na tha koi | Shaahi Shayari
kisi bhi zaKHm ka dil par asar na tha koi

Ghazal

Kisi bhi zaKHm ka dil par asar na tha koi

Sahar Ansari

;

kisi bhi zaKHm ka dil par asar na tha koi
ye baat jab ki hai jab chaara-gar na tha koi

kisi se rang-e-ufuq hi ki baat kar lete
ab is qadar bhi yahan mo'tabar na tha koi

banae jaun kisi aur ke bhi naqsh-e-qadam
ye kyun kahun ki mera ham-safar na tha koi

guzar gae tere kuche se ajnabi ki tarah
ki hum se silsila-e-baam-o-dar na tha koi

jise guzar gae hum baDe hunar ke sath
wo zindagi thi hamari hunar na tha koi

ajib hote hain aadab-e-ruKHsat-e-mahfil
ki uTh ke wo bhi chala jis ka ghar na tha koi

hujum-e-shahr mein shamil raha aur is ke baad
'sahar' udhar bhi gaya main jidhar na tha koi