kisi bhi wahm ko KHud par sawar mat karna
KHayal-e-yar ko gard-o-ghubar mat karna
KHilaf-e-waqia kuchh bhi ho sun suna lena
yahi tariqa magar iKHtiyar mat karna
tumhaari aankh mein nafrat ho dusron ke liye
tum apni zat se itna bhi pyar mat karna
nasha chaDha hai to phir ye utar bhi jaega
jo hai surur to is ko KHumar mat karna
koi bhi rut ho wo apna jamal rakhti hai
KHizan jo aae to is ko bahaar mat karna
ghamon ke sath to jina hai umr bhar ke liye
KHushi ke sath to un ko shumar mat karna
kisi ko jaan ke anjaan ban ke milna 'sad'
kisi ke sath bhi ye zulm yar mat karna
Ghazal
Kisi bhi wahm ko KHud par sawar mat karna
Saadullah Shah