kisi bhi shahr mein jao kahin qayam karo
koi faza koi manzar kisi ke nam karo
dua salam zaruri hai shahr walon se
magar akele mein apna bhi ehtiram karo
hamesha amn nahin hota faKHtaon mein
kabhi-kabhaar uqabon se bhi kalam karo
har ek basti badalti hai rang-rup kai
jahan bhi subh guzaro udhar hi sham karo
KHuda ke hukm se shaitan bhi hai aadam bhi
wo apna kaam karega tum apna kaam karo
Ghazal
Kisi bhi shahr mein jao kahin qayam karo
Nida Fazli