kisi bhi kaam ka mera hunar nahin na sahi
hawa-e-dahr muafiq agar nahin na sahi
kuan hai aur sabhi naqidan-e-sher-o-adab
mere kalam pe un ki nazar nahin na sahi
ye teri bazm hai yan tera sikka chalta hai
koi bhi baat meri mo'tabar nahin na sahi
yahi bahut hai ki kuchh log sochne to lage
koi bhi mera agar hum nazar nahin na sahi
hawa ka kya hai hawa ruKH badalti rahti hai
teri nigah agar aaj idhar nahin na sahi
dilon se uThne lagi hain ajab ajab lahren
kisi bhi aankh mein koi KHabar nahin na sahi
ilaj mein to na main koi kasar chhoDunga
kisi dawa mein bhi koi asar nahin na sahi
shajar lagae hain main ne ye kam nahin eazaz
mere nasib mein 'ruhi' samar nahin na sahi
Ghazal
Kisi bhi kaam ka mera hunar nahin na sahi
Roohi Kanjahi

