اردو हिंदी
Kisi bhi dasht kisi bhi nagar chala jata | Shaahi Shayari
kisi bhi dasht kisi bhi nagar chala jata

Ghazal

Kisi bhi dasht kisi bhi nagar chala jata

Jamal Ehsani

;

kisi bhi dasht kisi bhi nagar chala jata
main apne sath hi rahta jidhar chala jata

wo jis munDer pe chhoD aaya apni aankhen main
charagh hota to lau bhul kar chala jata

use bacha liya aawargan-e-sham ne aaj
wagarna subh ka bhula to ghar chala jata

mera makan meri ghaflat se bach gaya warna
koi chura ke mere baam-o-dar chala jata

agar main khiDkiyan darwaze band kar leta
to ghar ka bhed sar-e-rahguzar chala jata

thakan bahut thi magar saya-e-shajar mein 'jamal'
main baiThta to mera ham-safar chala jata