kisi bekas ko ai bedad gar mara to kya mara
jo aap hi mar raha ho us ko gar mara to kya mara
na mara aap ko jo KHak ho iksir ban jata
agar pare ko ai iksir gar mara to kya mara
baDe muzi ko mara nafs-e-ammara ko gar mara
nahang o azhdaha o sher-e-nar mara to kya mara
KHata to dil ki thi qabil bahut si mar khane ke
teri zulfon ne mushkin bandh kar mara to kya mara
nahin wo qaul ka sachcha hamesha qaul de de kar
jo us ne hath mere hath par mara to kya mara
tufang o tir to zahir na tha kuchh pas qatil ke
ilahi us ne dil ko tak kar mara to kya mara
hansi ke sath yan rona hai misl-e-qulqul-e-mina
kisi ne qahqaha ai be-KHabar mara to kya mara
mere aansu hamesha hain ba-rang-e-lal-e-gharq-e-KHun
jo ghota aab mein tu ne guhar mara to kya mara
jigar dil donon pahlu mein hain zaKHmi us ne kya jaane
idhar mara to kya mara udhar mara to kya mara
gaya shaitan mara ek sajda ke na karne mein
agar lakhon baras sajde mein sar mara to kya mara
dil-e-sangin-e-KHusrau par bhi zarb ai kohkan pahunchi
agar tesha sar-e-kohsar par mara to kya mara
dil-e-bad-KHwah mein tha marna ya chashm-e-bad-bin mein
falak par 'zauq' tir-e-ah gar mara to kya mara
Ghazal
Kisi bekas ko ai bedad gar mara to kya mara
Sheikh Ibrahim Zauq