اردو हिंदी
Kisi be-dard ko zulm-o-sitam ka shauq jab hoga | Shaahi Shayari
kisi be-dard ko zulm-o-sitam ka shauq jab hoga

Ghazal

Kisi be-dard ko zulm-o-sitam ka shauq jab hoga

Nooh Narvi

;

kisi be-dard ko zulm-o-sitam ka shauq jab hoga
ye mera ek dil lakhon dilon mein muntaKHab hoga

hamara aur un ka samna mahshar mein jab hoga
wo jalsa wo saman wo marka bhi kuchh ajab hoga

koi zinda rahe duniya mein kya agli umidon par
abhi to hijr ka rona hai hoga wasl jab hoga

laDakpan ja chuka un ka jawani aane wali hai
kabhi mujh par jafa hoti thi lekin qahr ab hoga

tumhaare wasl ki saat hamesha Talti rahti hai
KHuda jaane kahan hoga kise malum kab hoga

abhi lazzat nahin us ko mili aazar-e-pinhan ki
jo hoga bhi to hote hote dil iza-talab hoga

wo apne wada-e-didar se phirne ko phir jaen
magar ye to samajh len bewafa kis ka laqab hoga

mujhe izhaar-e-ulfat par ye un se dad milti hai
tumhaara ishq ek din meri zillat ka sabab hoga

bhari mahfil mein un ko chheDne ki kya zarurat thi
janab-e-'nuh' tum sa bhi na koi be-adab hoga