kisi bahane sahi dil lahu to hona hai
is imtihan mein magar surKH-ru to hona hai
hamare pas bashaarat hai sabz mausam ki
yaqin ki fasl lagaen numu to hona hai
main us ke bare mein itna ziyaada sochta hun
ki ek roz use ru-ba-ru to hona hai
lahuluhan rahen hum ki shad kaam rahen
sharik qafila-e-rang-o-bu to hona hai
koi kahani koi raushni koi surat
tulu mere ufuq se kabhu to hona hai
Ghazal
Kisi bahane sahi dil lahu to hona hai
Manzoor Hashmi