kisi bahane bhi dil se alam nahin jata
KHushi to jaane ko aati hai gham nahin jata
kisi ko milna ho us se to KHud hi chal kar jae
ki apne aap kahin wo sanam nahin jata
nishana us ka hamesha nishan pe lagta hai
go dil ke par wo tir-e-sitam nahin jata
hum apne daera-e-kar hi mein rahte hain
nikal ke us se ye bahar qadam nahin jata
yahi bahut hai ki qabu mein ashk rahte hain
ye aur baat ki palkon se nam nahin jata
Ghazal
Kisi bahane bhi dil se alam nahin jata
Farrukh Jafari