اردو हिंदी
Kisi aur ne to buna nahin mera aasman mera aasman | Shaahi Shayari
kisi aur ne to buna nahin mera aasman mera aasman

Ghazal

Kisi aur ne to buna nahin mera aasman mera aasman

Aalok Shrivastav

;

kisi aur ne to buna nahin mera aasman mera aasman
tere aasman se juda nahin mera aasman mera aasman

ye zamin meri zamin hai ye jahan mera jahan hai
kisi dusre se mila nahin mera aasman mera aasman

kahin dhup hai kahin chandni kahin rang hai kahin raushni
kahin aansuon se dhula nahin mera aasman mera aasman

use chhu sakun ye junun hai meri ruh ko ye sukun hai
yahan kab kisi ka hua nahin mera aasman mera aasman

girin bijliyan meri rah par kai aandhiyan bhi chalin magar
kabhi baadalon sa jhuka nahin mera aasman mera aasman