kisi aur gham mein itni KHalish-e-nihan nahin hai
gham-e-dil mere rafiqo gham-e-raegan nahin hai
koi ham-nafas nahin hai koi raaz-dan nahin hai
faqat ek dil tha ab tak so wo mehrban nahin hai
meri ruh ki haqiqat mere aansuon se puchho
mera majlisi tabassum mera tarjuman nahin hai
kisi zulf ko sada do kisi aankh ko pukaro
baDi dhup paD rahi hai koi saeban nahin hai
inhin pattharon pe chal kar agar aa sako to aao
mere ghar ke raste mein koi kahkashan nahin hai
Ghazal
Kisi aur gham mein itni KHalish-e-nihan nahin hai
Mustafa Zaidi