اردو हिंदी
Kisi apne se hoti hai na begane se hoti hai | Shaahi Shayari
kisi apne se hoti hai na begane se hoti hai

Ghazal

Kisi apne se hoti hai na begane se hoti hai

Figar Unnavi

;

kisi apne se hoti hai na begane se hoti hai
jo ulfat ek diwane ko diwane se hoti hai

subu se jam se mina se paimane se hoti hai
mohabbat mai se ho kar sare mai-KHane se hoti hai

koi qissa ho koi waqia koi hikayat ho
tasalli dil ko dard-e-dil ke afsane se hoti hai

meri tauba se kah do wo bhi aa kar shauq se sun le
ajab aawaz paida dal ke paimane se hoti hai

nazar se chhupne wale dil se aaKHir kyun nahin chhupte
ye kaisi be-hijabi aaina-KHane se hoti hai

bahaar-e-chand-roza se koi mange to kya mange
KHizan ko bhi nadamat hath phailane se hoti hai

ghaTaen gham ki chhaT jati hain un ke muskurane se
ki jaise subh paida raat Dhal jaane se hoti hai

'figar' ehsas-e-dil mein har taraf kanTe hi kanTe hain
yahi taskin gulshan mein bahaar aane se hoti hai