kisht-e-viran ki tarah tishna rahi raat meri
lauT aai tere dar se bhi munajat meri
to lahu ban ke ragon mein meri dauDa lekin
tishna-e-did rahi tujh se mulaqat meri
dil pe khulte nahin asrar-e-wajud aur adam
yahi hairan-nigahi hai mukafat meri
kaun samjha meri bedar-nigahi ki hudud
yun to har hath mein thi sharh-e-hikayat meri
garche aawara rahe mere fasane har su
raaz-e-sar-basta zamane mein rahi zat meri
saz-o-ahang ka eajaz tha har lafz mera
phunk Dali KHas-o-KHashak ne saughat meri
hain zamin aur zaman dud-e-charagh-e-shab-e-gham
mujh ko le aai kahan gardish-e-haalat meri
Ghazal
Kisht-e-viran ki tarah tishna rahi raat meri
Sajida Zaidi