kisht-e-ehsas mein thoDa sa mila lenge tujhe
phir nai paud ki surat mein uga lenge tujhe
kya KHabar kaam ka lamha koi hath aa jae
kasa-e-waqt kisi roz khangalenge tujhe
ek faqat teri tawajjoh se tere pyar talak
rafta rafta hi sahi apna bana lenge tujhe
sarhad-e-waqt ke us par tu jaane de mujhe
ai gham-e-yar! wahan par bhi bula lenge tujhe
na macha shor umanDte hue dariya mere
warna ifrit samundar ke ye kha lenge tujhe
zindagi hum se teri aankh-micholi kab tak
ek na ek roz kisi moD pe aa lenge tujhe
kaam aa hi gai 'sarim' teri aashufta-sari
qafile ishq ke ab rah-numa lenge tujhe
Ghazal
Kisht-e-ehsas mein thoDa sa mila lenge tujhe
Arshad Jamal u0027Sarimu0027