اردو हिंदी
Kisht-e-dil viran sahi tuKHm-e-hawas boya nahin | Shaahi Shayari
kisht-e-dil viran sahi tuKHm-e-hawas boya nahin

Ghazal

Kisht-e-dil viran sahi tuKHm-e-hawas boya nahin

Aslam Azad

;

kisht-e-dil viran sahi tuKHm-e-hawas boya nahin
KHwahishon ka bojh main ne aaj tak Dhoya nahin

us ki aaankhon mein bichha hai surKH tahriron ka jal
aisa lagta hai ki ek muddat se wo soya nahin

KHwab ki anjaan khiDki mein nazar aaya tha jo
zehn ne us chehra-e-manus ko khoya nahin

ek muddat par mile bhi to na milne ki tarah
is tarah KHamosh ho munh mein zaban goya nahin

main ne apni KHwahishon ka qatl KHud hi kar diya
hath KHun-alud hain in ko abhi dhoya nahin

dekh kar honTon pe mere muskurahaT ki lakir
wo samajhte hain ki 'aslam' main kabhi roya nahin