kisht-e-dayar-e-subh se tare ugaun main
ji chahta hai nit-nae manzar dikhaun main
wo shaKHs chiKHta hua amboh ban chuka
kis kis ko bolne dun kise chup karaun main
ab to hansi bhi KHatm hai afsurdagi bhi KHatm
lab-basta-e-azal tujhe kitna hansaun main
ek KHwab misl-e-ashk nikal aae chashm se
darwaza-e-guman jo kabhi khaTkhaTaun main
tu aa chuka hai dekh liya man bhi liya
ab aur kya karun tujhe sar par biThaun main
kya farq paD sakega andhere ki sharh mein
kuchh der raushni se agar bhar bhi jaun main
KHamosh rah ki phir teri aawaz sun sakun
nazron se dur ja ki tujhe dekh paun main
aaine is tarah mujhe takta hai kis liye
pahchan bhi liya ki taaruf karaun main
'shaariq' har ek shakl se milti hai koi shakl
aaKHir badan pe kaun sa chehra lagaun main
Ghazal
Kisht-e-dayar-e-subh se tare ugaun main
Saeed Shariq