kise KHabar thi ki zehn-o-dil mein ajib sa intishaar hoga
wo waqt aaega be-yaqini ka chaar-jaanib ghubar hoga
ye saf zahir hai zindagi mein sukun ki hogi na koi surat
kahin KHizan ki ijara-dari kahin fareb-e-bahaar hoga
yahan ka aain hi ajab hai ki tarz-e-nau ka ye mai-kada hai
jo bekason ka lahu piyega wo mai-kashon mein shumar hoga
na chheDiye naghma-e-mohabbat ki ye hai daur-e-fareb-kari
dilon ki KHush-rang wadiyon mein kuduraton ka ghubar hoga
chale to ho 'arsh' rah-e-haq par liye hue dil mein azm lekin
jahan jahan bhi qadam paDenge wahin wahin KHarzar hoga
Ghazal
Kise KHabar thi ki zehn-o-dil mein ajib sa intishaar hoga
Arsh Sahbai