اردو हिंदी
Kise KHabar thi ki isko bhi TuT jaana tha | Shaahi Shayari
kise KHabar thi ki isko bhi TuT jaana tha

Ghazal

Kise KHabar thi ki isko bhi TuT jaana tha

Sarfraz Nawaz

;

kise KHabar thi ki is ko bhi TuT jaana tha
hamara aap se rishta bahut purana tha

hum apne shahr se ho kar udas aae the
tumhaare shahr se ho kar udas jaana tha

sada lagai magar koi bhi nahin palTa
har ek shaKHs na jaane kahan rawana tha

yun chup hua ki phir aanhken hi DabDaba uTThin
na jaane us ko abhi aur kya batana tha

kise paDi thi mera haal puchhta mujh se
mujhe to rasm nibhani thi muskurana tha

bhanak na jaane ye kaise lagi hawaon ko
ki mujh ko rahguzar par diya jalana tha

chhupi thi is mein hi tamhid bhi judai ki
hamara aap se milna to ek bahana tha

tujhe KHabar hi nahin mere jitne wale
tere liye to hamesha hi haar jaana tha

nigah-e-shauq se yun ghair ko tera takna
'nawaz' aur nahin kuchh mujhe satana tha