kise KHabar hai ki umr bas us pe ghaur karne mein kaT rahi hai
ki ye udasi hamare jismon se kis KHushi mein lipaT rahi hai
ajib dukh hai hum us ke ho kar bhi us ko chhune se Dar rahe hain
ajib dukh hai hamare hisse ki aag auron mein baT rahi hai
main us ko har rose bas yahi ek jhuT sunne ko phone karta
suno yahan koi masala hai tumhaari aawaz kaT rahi hai
mujh aise peDon ke sukhne aur sabz hone se kya kisi ko
ye bel shayad kisi musibat mein hai jo mujh se lipaT rahi hai
ye waqt aane pe apni aulad apne ajdad bech degi
jo fauj dushman ko apna salar girwi rakh kar palaT rahi hai
so is talluq mein jo ghalat-fahmiyan thin ab dur ho rahi hain
ruki hui gaDiyon ke chalne ka waqt hai dhundh chhaT rahi hai
Ghazal
Kise KHabar hai ki umr bas us pe ghaur karne mein kaT rahi hai
Tahzeeb Hafi