kise hum apna kahen koi gham-gusar nahin
hamein jab apne parae pe e'tibar nahin
hum apne daur ki sachchaiyon ko likhte hain
qalam hamara kisi ka to mustaar nahin
jo be-wafa the wahi log pa gae eazaz
meri wafaon ka ab tak kahin shumar nahin
hamare sar pe baras jaenge kahan patthar
tunak-mizaji-e-mausam ka e'tibar nahin
duaen de ke jo bachchon ko shahr bhejenge
ab aise ganw mein koi buzurgwar nahin
hazar muflis-o-nadar main sahi 'rahbar'
KHuda ka shukr kisi ka bhi qarz-dar nahin
Ghazal
Kise hum apna kahen koi gham-gusar nahin
Haseeb Rehbar