kise hai lauh-e-waqt par dawam sochte rahe
likhe hue the kaise kaise nam sochte rahe
rah-e-hayat mein ruka hai kaun kitni der ko?
musafiron ka waqfa-e-qayam sochte rahe
kise KHabar hai jalwa-gah-e-yar tak pahunchne ko
siyah kitne paDte hain maqam sochte rahe
ujaD ke dil basa nahin bichhaD ke wo mila nahin
azab hai ki hijr subh-o-sham sochte rahe
abhi talak bashaaraton ki gunj hai KHayal mein
ye kaun KHwab mein tha ham-kalam sochte rahe
jo mila tha raste mein kya bataen kaun tha?
wo yaad aa gaya to us ka nam sochte rahe
kuchh aise be-KHabar na the shikariyon ki chaal se
jab aa gae tuyur zer-e-dam sochte rahe
'rashid' sari umr isi KHayal mein guzar gai
ki zalimon se lenge intiqam sochte rahe

Ghazal
Kise hai lauh-e-waqt par dawam sochte rahe
Rasheed Kamil