kise dimagh ki uljhe tilism-e-zat ke sath
ulajh raha hun abhi teri kaenat ke sath
main did-ban azal se jidhar bhi dekhta tha
shikasta jam paDa hai ajaibaat ke sath
nikal gaya tha main ek roz KHak-dan ki taraf
guzar rahi hai shab o roz hadsat ke sath
main Dub Dub gaya be-nishan bhanwar mein kahin
KHala mein raqs-kunan ghumti praat ke sath
muhit-e-ab mein har sans Dolti nayya
gham-e-wajud juDa hai gham-e-hayat ke sath
wahi haram hai wahi but wahi pujari hain
wahi dilon ka talluq hai somnat ke sath
bikhar bikhar gaya ek mauj-e-raegan ki tarah
kisi ki jit ka nashsha kisi ki mat ke sath
KHizan ki shaal mein lipTe shajar pe parwane
numu ke git likhe rang-e-mumkinat ke sath
qadam qadam pe ulajhna wo be-sabab dil ka
hai ab to roz ka mamul panch sat ke sath
hazar talKH sahi phir bhi KHush-nawa hai bahut
kisi charagh ka lahja siyah raat ke sath
suna hai mausam-e-be-rangi-e-zaman yaksar
badal gaya hai teri chashm-e-iltifat ke sath
main ab bhi mazi ki galiyon mein ja nikalta hun
paDi hai TaT pe taKHti qalam dawat ke sath
bahut dinon wo raha hai isi khanDar mein muqim
so rakh diya hai ye dil bhi nawadiraat ke sath
ye bastiyon pe ajab wahshaton ka mausam hai
numu-pazir hua hai taghayyuraat ke sath
main kunj-e-zat se nikla to yun hua ki 'ata'
kuchh aur phail gaya gham bhi shash-jahat ke sath
Ghazal
Kise dimagh ki uljhe tilism-e-zat ke sath
Ataurrahman Qazi