kise dekhte kise puchhte ki hum aap kushta-e-haal the
sar-e-lab kuchh aur the masale pas-e-jaan kuchh aur sawal the
jo lahuluhan kiye gae sar-e-rah jo mar diye gae
wo shaghaal to na the dasht ke mere shahr hi ke ghazal the
uTha parda ru-e-guman se jab to khula ajab hi tilsim-e-shab
wo tamam chehre bhi KHwab the wo sab aaine bhi KHayal the
baDhe jitne rah mein pech-o-KHam hua aur jazb-e-safar baham
jo malal the mere ham-qadam kahin thamne wale malal the
baDi sabr-kash thin masafaten ki qadam qadam thin qayamaten
meri himmaten to nihaal thin mere hausle to bahaal the
Ghazal
Kise dekhte kise puchhte ki hum aap kushta-e-haal the
Mahshar Badayuni