kise bataen mohabbat mein kya kiya main ne
bana ke apna nasheman jala diya main ne
ghurur-e-ishq KHudi aur aabru-e-wafa
inhen ganwa ke bahut kuchh bacha liya main ne
zamana is ko kahe mai-kashi ki mai-KHwari
tamam umr KHud apna lahu piya main ne
bujha gai thi kabhi jis ko be-ruKHi teri
usi charagh ko phir se jila liya nai
kal us ko dekh ke dil kitna be-qarar hua
samajh raha tha ki us ko bhula diya main ne

Ghazal
Kise bataen mohabbat mein kya kiya maine
Mushtaq Naqvi