kise ab dastan apni sunaen
muqabil aaine ke baiTh jaen
jo aata hai guzar jata hai phir bhi
zamin-e-dil ki KHak ab kyun uDaen
hazaron log tishna-lab yahan hain
wuzu kaise karen kaise nahaen
andhera hi andhera har taraf hai
charagh-e-dil kahan tak hum jalaen
usi ek baat ka charcha bahut hai
jise hum ne to chaha tha chhupaen
chaman ka gosha gosha jal raha hai
kisi chhoDen yahan kis ko bachaen
zamin ka ek TukDa hai jahan par
adab ke sath chalti hai hawaen
musalsal zaKHm ka parda kahan tak
kahan tak tir kha kar muskuraen
nazar ki shama raushan kar raha hun
na jaane kab sitare Dub jaen
abhi itni mohabbat bhi bahut hai
gae wo din ki tum ko aazmaen
bichhauna bhi nahin hai aaj 'talib'
taDap gham nind aansu kya bichhaen
Ghazal
Kise ab dastan apni sunaen
Murlidhar Sharma Talib