kis tarah zinda rahenge hum tumhaare shahr mein
har taraf bikhre hue hain mah-pare shahr mein
jagmagati raushni mein ye nahate sim-tan
jaise utre hon zamin par chand tare shahr mein
misl-e-KHushbu-e-saba phaili hui hai har taraf
gesu-e-bangal ki KHushbu hamare shahr mein
husn walon ke sitam sah kar bhi hum zinda rahe
warna kitnon ke hue hain ware nyare shahr mein
ye mata-e-parsai bhi na luT jae kahin
de rahe hain dawat-e-laghzish nazare shahr mein
lahlahate khet naddi ganw ki pyari hawa
chhoD kar bekar aae hum tumhaare shahr mein
apne hi zauq-e-jamal-o-husn ke hathon 'shamim'
aaj hum badnam aawara hain sare shahr mein
Ghazal
Kis tarah zinda rahenge hum tumhaare shahr mein
Syed Ahmed Shameem