اردو हिंदी
Kis tarah waqif hon haal-e-ashiq-e-jaan-baz se | Shaahi Shayari
kis tarah waqif hon haal-e-ashiq-e-jaan-baz se

Ghazal

Kis tarah waqif hon haal-e-ashiq-e-jaan-baz se

Ghulam Bhik Nairang

;

kis tarah waqif hon haal-e-ashiq-e-jaan-baz se
un ko fursat hi nahin hai karobar-e-naz se

mere dard-e-dil se goya aashna hain chob-o-tar
apne nale sun raha hun parda-ha-e-saz se

zarra zarra hai yahan ek katba-e-sirr-alast
aap hi waqif nahin hain rasm-e-KHatt-e-raaz se

dil gae iman gae aqlen gain jaanen gain
tum ne kya kya kar dikhaya ek nigah-e-naz se

aah! kal tak wo nawazish! aaj itni be-ruKHi
kuchh to nisbat chahiye anjam ko aaghaz se