kis tarah us ko bulaun KHana-e-barbaad mein
dil tassur chahta hai be-sada fariyaad mein
tirgi-e-KHush-guman hai ji jahan lagne lage
sham-e-wahshat ek jalaun is jahan-e-shad mein
jaanti hun ye hikayat fasl-e-barbaadi ki hai
par mata-e-dil yahi hai sina-e-nashad mein
wo misal-e-KHwab-e-rangin ab kahan maujud hai
so rahi hun main abhi tak KHwab-gah-e-yaad mein
rishta-e-mubham ko phir se joDti hai soch ek
dil usi ko DhunDhta hai ek KHwab-abaad mein
KHush-nigahi us harif-e-jaan ki yun achchhi lage
main taDapna bhi na chahun panja-e-sayyaad mein
is gham-e-wahshat-zada ka chaara-ju koi nahin
imtihan-e-zabt hai ek is KHarab-abaad mein
har hisar-e-KHush-numa ko toDti jati hun main
ek KHu-e-dasht-gardi hai meri buniyaad mein
Ghazal
Kis tarah usko bulaun KHana-e-barbaad mein
Tanveer Anjum