اردو हिंदी
Kis tarah par aise bad-KHu se safai kijiye | Shaahi Shayari
kis tarah par aise bad-KHu se safai kijiye

Ghazal

Kis tarah par aise bad-KHu se safai kijiye

Rajab Ali Beg Suroor

;

kis tarah par aise bad-KHu se safai kijiye
jis ki tinat mein yahi ho kaj-adai kijiye

jab masiha ki ho marzi kaj-adai kijiye
is jagah kya dard-e-dil ki phir dawai kijiye

us se khinch rahta hun jab tab ye kahe hai mujh se dil
aashiqi ya kijiye ya mirzai kijiye

gar ye dil apna kahe mein apne howe naseha
baiTh kar kunj-e-qanaat mein KHudai kijiye

kya yahi thi shart kuchh insaf ki ai tund-KHu
jo bhala ho aap se us se burai kijiye

wo bhala-changa hua bargashta mujh se aur bhi
kya bayan nale ki apne na-rasai kijiye

kha gaya laghzish qadam aisa buton ko dekh kar
ji mein ye aaya ki tark-e-parsai kijiye

aks ho malum us ka ghar hi baiThe ai 'surur'
pahle zang-e-dil ki jab apne safai kijiye