kis tarah nala kare bulbul chaman ki yaad mein
ghis gai us ki zaban to shikwa-e-sayyaad mein
dad-KHwahon ki agar pursish hui roz-e-jaza
sab se pahle aaenge hum arsa-e-faryaad mein
kya lipaT jaen tera qamat samajh kar is ko hum
ye nazakat ye sabahat hai kahan shamshad mein
kaam mashuqon se bhi aashiq ke leta hai ye ishq
kyun na shirin jaan de apni gham-e-farhad mein
daman-e-dil ai nasim-e-gulshan-e-jannat na khinch
lag gaya hai ji hamara is KHarab-abaad mein
hashr tak bhi khinch nahin sakne ki surat yar ki
gar yunhi hujjat rahegi mani-o-bahzad mein
kucha-e-jaanan mein yaro kaun sunta hai meri
mujh se wan phirte hain lakhon dad aur bedad mein
sher kahna aap se 'ghafil' kabhi aata nahin
umr ek jab tak na khoi KHidmat-e-ustad mein
Ghazal
Kis tarah nala kare bulbul chaman ki yaad mein
Munawar Khan Ghafil