kis tarah bhule tere alfaz-e-beja kya karun
wahshaten ya hasraten jo bhi hain le ja kya karun
dil hatheli pe rakha aur sath mein ek KHat diya
kuchh nahin baqi bacha hai kyun ye bheja kya karun
har ghaDi halkan rahna aur na sona raat bhar
aur jo tanhai di thi wo bhi hai ja kya karun
kab talak chal paegi ye ek tarfa zyaadti
main bhi jaanun hun taghaful ja kahe ja kya karun
mujh ko sunna hi nahin hai talKHiyon ka falsafa
umr bhar to main ne tanha gham saheja kya karun
Ghazal
Kis tarah bhule tere alfaz-e-beja kya karun
Urmila Madhav