kis tarah aae teri bazm-e-tarab mein aaina
hai nazar-band aaj-kal shahr-e-halab mein aaina
hind se us tak jo le jae koi taswir-e-yar
sharm se laila na dekhe phir arab mein aaina
bazm mein bulwae jaldi ki ek muddat se hai
ishtiyaq-e-zulf-o-KHat-o-chashm-o-lab mein aaina
naukri bhi ki to hairani faqat hum ko mili
aarsi tanKHwah mein pai talab mein aaina
shaiKH-sahab ta-kuja aaraish-e-resh-e-saped
dekhiye shana bala mein hai ghazab mein aaina
saqiya ye aaina hai tera mai-KHana nahin
hai har ek saghar kaf-e-bintul-anab mein aaina
dekhne jata hai us ko tab-e-nazzara nahin
sada-lauh us se hua mashhur sab mein aaina
Ghazal
Kis tarah aae teri bazm-e-tarab mein aaina
Aseer Lakhnawi