اردو हिंदी
Kis sitamgar ka gunahgar hun allah allah | Shaahi Shayari
kis sitamgar ka gunahgar hun allah allah

Ghazal

Kis sitamgar ka gunahgar hun allah allah

Shaikh Zahuruddin Hatim

;

kis sitamgar ka gunahgar hun allah allah
kis ke tiron se dil-afgar hun allah allah

us ke hathon se na jita hun na marta hun main
kis musibat mein giraftar hun allah allah

KHizr ab dur kar aage se mere aab-e-hayat
kis ke bose ka talabgar hun allah allah

kyun na aankhon mein rakhe mujh ko zuleKHa bhi aziz
kaise yusuf ka KHaridar hun allah allah

namak-e-husn se us lab ke maze luTun hun
kis namak-dan ka namak-KHwar hun allah allah

nargis ab hum se na kar dawa-e-ham-chashmi tu
kis ki nargis ka main bimar hun allah allah

itna kahta bhi nahin kaun ye chillata hai
kab se nalan pas-e-diwar hun allah allah

KHwab mein yar ne aa mujh ko jagaya 'hatim'
kis qadar tale-e-bedar hun allah allah