kis shaKHs ki talash mein sar phoDti rahi
sunsan jangalon mein hawa chiKHti rahi
mathe pe dhul hath mein kanTe liye hayat
sahra se KHushbuon ka pata puchhti rahi
dil bujh gaya to raat ki surat thi zindagi
jab tak ye ek charagh raha raushni rahi
main aaj bhi na us se koi baat kar saka
lafzon ke pattharon mein tamanna dabi rahi
sunsan raston pe bhaTakti thi chandni
shab bhar na jaane kis ke liye jagti rahi
wo peD jo hara tha bahaaron ke baad bhi
hairat se us ko zard hawa dekhti rahi
suraj na koi meri gali mein utar saka
shab bhar mere makan ki khiDki khuli rahi
Ghazal
Kis shaKHs ki talash mein sar phoDti rahi
Sarmad Sahbai