kis shai pe yahan waqt ka saya nahin hota
ek KHwab-e-mohabbat hai ki buDha nahin hota
wo waqt bhi aata hai jab aankhon mein hamari
phirti hain wo shaklen jinhen dekha nahin hota
barish wo barasti hai ki bhar jate hain jal-thal
dekho to kahin abr ka TukDa nahin hota
ghir jata hai dil dard ki har band gali mein
chaho ki nikal jaen to rasta nahin hota
yaadon pe bhi jam jati hai jab gard-e-zamana
milta hai wo paigham ki pahuncha nahin hota
tanhai mein karni to hai ek baat kisi se
lekin wo kisi waqt akela nahin hota
kya us se gila kijiye barbaadi-e-dil ka
hum se bhi to izhaar-e-tamanna nahin hota
Ghazal
Kis shai pe yahan waqt ka saya nahin hota
Ahmad Mushtaq