kis se puchhun hae main is dil ke samjhane ki tarah
sath tiflan ke laga phirta hai diwane ki tarah
yar ke panw pe sar rakh ji ko apne dijiye
is se behtar aur nahin hoti hai mar jaane ki tarah
kab pilawega tu ai saqi mujhe jam-e-sharab
jaan-ba-lab hun aarzu mein mai ki paimane ki tarah
mast aata hai piye mai aaj wo qatil mera
kuchh nazar aati hai mujh ko apne ji jaane ki tarah
shama-ru ke gird phirti hain sada qurban ho
chashm meri par laga mizhgan ke parwane ki tarah
bagh mein gul ne kiya apne tain lohuluhan
dekh us ghuncha-dahan ke pan ke khane ki tarah
fasl-e-gul aai hai 'taban' ghar mein kya baiTha hai yun
kar gareban chaak ja sahra mein diwane ki tarah
Ghazal
Kis se puchhun hae main is dil ke samjhane ki tarah
Taban Abdul Hai