kis se aazurda mere qatil ka KHanjar ho gaya
kya hua jo aaj yun jame se bahar ho gaya
mera shohra aaj ek aalam mein ghar ghar ho gaya
tere hathon mujh ko qatil ye mayassar ho gaya
kyun nahin milta abhi tak tishna-lab hain baada-KHwar
kya tera saghar bhi saqi jam-e-kausar ho gaya
is qadar wahshat bhi ai dast-e-junun kis kaam ki
tere hathon mera jina bhi to dubhar ho gaya
josh-e-wahshat ka irada tha ki uryan hi rahe
bare mar kar ek kafan mujh ko mayassar ho gaya
us ki ruswai ka bhi aaya na tujh ko kuchh KHayal
kis qadar bebak tu ai dida-e-tar ho gaya
muzhda ai ganj-e-shahidan tere bhi din phir gae
aaj dil-bardashta duniya se 'jauhar' ho gaya
Ghazal
Kis se aazurda mere qatil ka KHanjar ho gaya
Mohammad Ali Jauhar