kis safar mein hain ki ab tak raste nadida hain
aasman pe shamen raushan hain magar KHwabida hain
kitni nam hai aansuon se ye sanam-KHane ki KHak
ye tawaf-e-gul ke lamhe kitne aatish-dida hain
ye gulistan hai ki chalte hain tamannaon ke KHwab
ye hawa hai ya bayaban ke qadam larzida hain
ek basti ishq ki aabaad hai dil ke qarib
lekin is basti ke raste kis qadar pechida hain
aaj bhi har phul mein bu-e-wafa aawara hai
aaj bhi har zaKHm mein tere karam poshida hain
aaj ghar ke aaine mein subh se ek shaKHs hai
aur khiDki mein sitare sham se pechida hain
rahguzar kahti hai jag ai mahtab-e-sham-e-yar
hum sar-e-bazar chalte hain magar KHwabida hain
aaine mein kis ki aankhen dekhta hun main 'jamil'
do kanwal hain beach pani mein magar nam-dida hain
Ghazal
Kis safar mein hain ki ab tak raste nadida hain
Qamar Jameel

