kis sadgi se chhoD diya hai bahaw par
haalan ki hum sawar hain kaghaz ki naw par
hum khilkhila ke hanste hain har taza ghaw par
kuchh log mo'tariz hain isi rakh-rakhao par
ye aag bhi unhin ki lagai hui to hai
jo log hath tap rahe hain alaw par
shahr-e-suKHan ka tarz-e-tijarat ajib hai
bikte hain fikr-o-fan bhi to miTTi ke bhaw par
rahzan hain ahl-e-qafila hain aur gard-e-rah
rahbar ko chhoD aae hain pichhle paDaw par
hum bekason pe itna munasib nahin hai zulm
chinTa bhi kaT leta hai akasr dabaw par
mumkin nahin hai ishq ki bazi ko haar jaen
dil jaisi chiz hum ne lagai hai daw par
wo shaKHs zindagi ki bulandi na chhu saka
wo jis ka sans phul gaya ho chaDhaw par
'ishrat' KHulus-o-mehr-o-wafa dosti ki laj
bikti hain sari chizen yahan ek bhaw par
Ghazal
Kis sadgi se chhoD diya hai bahaw par
Ishrat Kiratpuri