اردو हिंदी
Kis raqs-e-jaan-o-tan mein mera dil nahin raha | Shaahi Shayari
kis raqs-e-jaan-o-tan mein mera dil nahin raha

Ghazal

Kis raqs-e-jaan-o-tan mein mera dil nahin raha

Ahmad Mushtaq

;

kis raqs-e-jaan-o-tan mein mera dil nahin raha
go main kisi julus mein shamil nahin raha

har chand teri ruh ka mahram raha hun main
lekin tere badan se bhi ghafil nahin raha

tujh se koi gila hai na teri wafa se hai
main hi tere KHayal ke qabil nahin raha

bahar chahak rahi ho ki andar mahak rahi
dil ab kisi bahaar ka qail nahin raha

yaro safina-e-gham-e-dil ka banega kya
lagta hai ab kahin koi sahil nahin raha