kis rah pe hain rawan-dawan hum
jaenge KHabar nahin kahan hum
ek bar fareb kha gae the
ab tak hain kisi se bad-guman hum
yun teri nigah se gire hain
goya the mata-e-raegan hum
raston ki KHabar na manzilon ki
kya jaaniye aa gae kahan hum
dil mein thin kuchh aisi hasraten bhi
tujh se jo na kar sake yahan hum
guzri hai qafas mein umr lekin
bhule nahin yaad aashiyan hum
har haal KHushi unhi ki chahi
karte rahe pas-e-dostan hum
pesh aae na-jaane kya safar mein
ghar se to chale hain shadman hum
ek manzil-e-be-nishan ki dhun mein
'shafqat' na phire kahan kahan hum
Ghazal
Kis rah pe hain rawan-dawan hum
Shafqat Kazmi