اردو हिंदी
Kis rah gaya laila ka mahmil nahin malum | Shaahi Shayari
kis rah gaya laila ka mahmil nahin malum

Ghazal

Kis rah gaya laila ka mahmil nahin malum

Mushafi Ghulam Hamdani

;

kis rah gaya laila ka mahmil nahin malum
hai baadiya reg aur hamein manzil nahin malum

main hashr ke din dawa KHun kis se karunga
wo kushta hun jis kushta ka qatil nahin malum

niklen hain mere dil ke taDapne mein adaen
hai kis ki nigahon ka ye bismil nahin malum

tha ru-e-dil-e-KHasta to shab meri taraf ko
kab ho gaya mizhgan ke muqabil nahin malum

wo bahr hai dariya-e-sarishk apna ki jis ka
pahna hi nazar aawe hai sahil nahin malum

mar jaun ki jita rahun main hijr mein tere
kis chiz ka KHwahan hai mera dil nahin malum

aankhon se guzara hai jo yun laKHt jigar ka
aate hain chale kis ke ye ghael nahin malum

kya jaaniye kya us mein teri aankhon ne dekha
kyun ho gain aaine ki mail nahin malum

ai 'mushafi' afsos ki is hasti pe hum ko
tahsil-e-wafadari ka hasil nahin malum