kis qayamat ki ghuTan tari hai
ruh par kab se badan tari hai
kaun ye saya-fagan hai aaKHir
mere suraj pe gahan tari hai
baat kya aur nai hum sochen
jab wahi charKH-e-kuhan tari hai
sirf hum hi to nahin TuTe hain
raston par bhi thakan tari hai
'shaz' uDta hi chala jata hun
kaisi KHushbu ki lagan tari hai
Ghazal
Kis qayamat ki ghuTan tari hai
Zakariya Shaz