kis qayamat ka na jaane wo andhera hoga
jis ne KHurshid-e-jahan-tab ko ghera hoga
han isi parda-e-zulmat se ubhregi sahar
panja-e-shab se kahan qaid sawera hoga
kis se us husn ka afsana kahun jis ke liye
main ne socha bhi nahin tha kabhi mera hoga
raat bhar di hai dar-e-dil pe kisi ne dastak
wo ye kahta hai nahin koi luTera hoga
aaj ji bhar ke use dekh le 'kausar' sar-e-baam
jaane un galiyon mein phir kab tera phera hoga
Ghazal
Kis qayamat ka na jaane wo andhera hoga
Kausar Niyazi