kis qayamat ka hai bazar tere kuche mein
bikne aate hain KHaridar tere kuche mein
to wo isa hai ki ai nabz-shanas-e-kaunain
ibn-e-maryam bhi hai bimar tere kuche mein
izn-e-didar to hai aam magar kya kahiye
chashm-e-bina bhi hai bekar tere kuche mein
jis ne dekha ho nazar bhar ke tera husn-e-tamam
koi aisa bhi hai ai yar tere kuche mein
'arzu' sa kabhi dekha hai koi kafir-e-ishq
yun to hain sainkaDon din-dar tere kuche mein
Ghazal
Kis qayamat ka hai bazar tere kuche mein
Arzoo Saharanpuri