kis qadar wazn hai KHataon mein
zikr rahta hai parsaon mein
wapsi par utar gaya chehra
ja ke baiTha tha ham-nawaon mein
raaz ki baat hai dua na karo
yaad rakhna hamein duaon mein
DhunD shayad mile payam-e-zamir
buDhe bargad ki in chaTTanon mein
apni tarif karne baiTha tha
baat uDa di gai hawaon mein
chehre badle hue hain 'shamar'-o-'yazid'
ahd-e-hazir ki karbalaon mein
sochte ho 'waqar' kya tum bhi
nam aa jae parsaon mein
Ghazal
Kis qadar wazn hai KHataon mein
Waqar Vasiqi