اردو हिंदी
Kis qadar tha garm nala bulbul-e-nashad ka | Shaahi Shayari
kis qadar tha garm nala bulbul-e-nashad ka

Ghazal

Kis qadar tha garm nala bulbul-e-nashad ka

Jaleel Manikpuri

;

kis qadar tha garm nala bulbul-e-nashad ka
aag phulon mein lagi ghar jal gaya sayyaad ka

sahl samjha tha satana bulbul-e-nashad ka
chaar nalon mein kaleja hil gaya sayyaad ka

zer-e-KHanjar main taDapta hun faqat is waste
KHun mera uD ke daman-gir ho jallad ka

dar-pae-azar pahle aasman itna na tha
pa gaya hai kuchh ishaara us sitam-ijad ka

ab to wo bhi loT hai bulbul teri aawaz par
barak-allah KHub phansa tu ne dil sayyaad ka

us ke sadqe jaiye jis ne tujhe paida kiya
shakl di hur-o-pari ki dil diya jallad ka

wasl mein kaisa adab ai jaan gustaKHi muaf
aaj lena hai mujhe tum se ewaz bedad ka

aap bhi KHanjar-ba-kaf hain main bhi hun sina-sipar
rah na jae aaj koi hausla bedad ka

mujh ko hai aisa chaman darkar jis mein ai 'jalil'
KHauf gulchin ka na ho khaTka na ho sayyaad ka