kis qadar ruh pasheman hai tumhein kya malum
kab kahan kaun pareshan hai tumhein kya malum
mere afkar pe ehsas ka sahra hawi
aur taKHayyul mein gulistan hai tumhein kya malum
un ke mahaul pe raqsan hain bahaaren naghme
mera har git gham-e-jaan hai tumhein kya malum
raat bechain hai aankhon mein simaTne ke liye
tirgi zist ka unwan hai tumhein kya malum
kal jo tha sang-e-giran shahr-e-wafa mein 'manzar'
aaj wo lal-e-badaKHshan hai tumhein kya malum

Ghazal
Kis qadar ruh pasheman hai tumhein kya malum
Jawed Manzar