kis qadar pyas mili aap ke maiKHane se
umr bhar aankhon mein chhalka kiye paimane se
kaisa jadu tha un aankhon mein jinhen dekh ke hum
muddaton apnon mein phirte rahe begane se
meri taKHil ne duniya ko diye pairahan
kya haqiqat hai ye puchho mare afsane se
TuT jaane pe bhi rishton ka bharam baqi hai
in ka ghar dur nahin hai mere virane se
kya milen auron se KHud se bhi nahin mil pate
aise tanha hue hum aap ke aa jaane se

Ghazal
Kis qadar pyas mili aap ke maiKHane se
Mushtaq Naqvi